Friday, September 7, 2007

Tumhari Yad

Jab yad tumhari aati hai
dil kahta hai
tum dur nahi ,yahi kahi ho
najro se ojhal sahi mann ke najdeek ho.
janti hu tum mere nahi ,
per phir bhi ye vishvas hai,
tum mujhse juda hoker bhi
herpal mere karib ho.
Hamari duniya yun udas na rahegi,
yakin hai ek din bahar to aayegi,
entjar ka silsila kabhi to tutega
us din ye judai na hogi,
bas hum hoge aur ye tanhai hogi.

Thursday, September 6, 2007

Sapne ya Hakiyat

kuchh yad nahi aata
kab se shuru hui ye kahani
na to kahi padha
na hi suna kisi ki jubani
bas yad aati hai to
halki halki vo yade
jab karte the sabhi unki vo bate
shayad shuruvat mohhabat ki yahi thi
baichain thi rouhe aur sanse thami thi
socha karti thi yahi bas
vo kun hai? kaise hai?
kya vo hi mere apne hai?
ya phir ye shirf mere sapne hai