Thursday, October 25, 2007

aastitav nari ka

Sagar ki Sahil nahi
na hi hu kisi Kavi ki Kavita
Phoolo ki Khushbu nahi
na hi hu kal -kal karita Sarita

kisi devta ki murat nahi
na hi hu koi pratiksha
samay ki sima nahi
na hi hu kisi Prem ki Samiksha

Log kahte hai mai hu ek Yayawar
yayari hai jiski Pravirti
her dum chalte rahna hi
jiski ban gyi ho Niyati

Shabdo ki mala bunti hu
Shardha ke suman chadhati hu
geet vishvash ke gati hu
her pal lahro se takrati hu

vistar nahi mera amber jitna
na hi hai mujhe kaliyu sa simtna
kahana aasan nahi kuchh khud ke bare mai
haa etni bejan bhi nahi ki simat jau ek chhote kagaj mai.

1 comment:

Unknown said...

Is kavita me poetress ne bade hi saral, sahej aur manmohak dhang se nari ke aastitva ko ukera hai, wo apni baat kahne me purnataya saphal rahi hain. Pratham baar me hi yah kavita pathak ke man aur mastisk par puri tarah chaa jaati hai aur baar-baar padhne ke liye wah badhya ho jata hai. waise to kavita ki sabhi pankiya atiutkrist hain, lekin mujhe pratham 4 aur antim 4 panktiyan bahut hi aachi lagi. Aisi Kavita likhne ke liye Anju ji ko bahut bahut badhai. Main unke sukhad bhavishya ki kamna karta hun.